॥ Durga Devi Stuti ॥
Miti Ka Tan Huaa Pavitra, Ganga Ke Asnan Se ।
Ant Karan Ho Jaye Pavitra, Jagadambe Ke Dhyan Se ॥
Sarve Mangal Mangalye, Shive Sarvarth Sadhike ।
Sharanye Trambake Gauri, Narayani Namo Stute ॥
Shakti Shakti Do Mujhe, Karoon Tumhara Dhyan ।
Path Nirvignya Ho Tera, Mera Ho Kalyan ॥
Hridya Sinhasan Par Aa, Betho Meri Maa ।
Suno Vinay Mam Din Ki, Jag Janani Vardan ॥
Sundar Deepak Ghee Bhara, Karoon Aaj Tayaar ।
Gyan Ujala Maa Karo, Metto Moh Andhkaar ॥
Chandra Surya Ki Roshni, Chamke Chaman Akhand ।
Sab Mein Vyapak Tej Hai, Jwala Ka Prachand ॥
Jwala Jag Janani Meri, Raksha Karo Humesh ।
Dur Karo Maa Ambike, Mere Sabhi Kalesh ॥
Shradha Aur Vishwas Se, Teri Jyot Jalaoon ।
Tera Hi Hai Aashra, Tere Hi Gun Gaoon ॥
Teri Adhabhut Gaat Ko, Padhoon Mein Nischay Dhar ।
Sakshat Darshan Karoon, Tere Jagat Aadhar ॥
Man Chanchal Se Baat Ke, Samay Jo Aogun Hoye ।
Dati Apni Daya Se, Dhyan Na Dena Koye ॥
Main Anjan Malin Man, Na Jano Koi Rit ।
At Pat Vani Ko Hi Maa, Samjho Meri Prit ॥
Chaman Ke Aogun Bahot Hai, Karna Nahi Dhyan ।
Sinhvahini Maa Ambike, Karo Mera Kalyan ॥
Dhanya Dhanya Maa Ambike, Shakti Shiva Vishal ।
Angh Angh Mein Rum Rahi, Dati Din Dayal ॥